Myvideo

Guest

Login

hamen to loot liya husn walo ne_ Qawwal Smail Azad_Shevan Rizvi _Bulo C Rani_Al Hilali1958_a tribute

Uploaded By: Myvideo
1 view
0
0 votes
0

Song :Hamen to loot liya mil ke husn walon ne.. Film : Al Hilali,1958, Lyrics By: Shevan Rizvi,[Story, Screenplay & Dialogues], Music Director: Bulo C Rani, Cast: Mahipal, Shakeela, Hiralal, Sheikh, Indra, Ram Kumar, Indira, Director: Ram Kumar , Producer: Akkoo Productions, Lyrics :- hamen to loot liyaa mil ke husn waalon ne kaale-kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne hamen to loot liyaa mil ke husn waalon ne kaale-kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne nazar mein shokhiyaan aur bachpanaa sharaarat mein adaayen dekh ke ham phans gaye mohabbat mein ham apni jaan se jaayenge jinki ulfat mein yaqeen hai ki na aayenge wo hi maiyyat mein Khuda sawaal karegaa agar qayaamat mein to ham bhi kah denge, ham lut gaye sharaafat mein hamen to loot liyaa mil ke husn waalon ne kaale-kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne hamen to loot liyaa mil ke husn waalon ne kaale-kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne wahin-wahin pe qayaamat ho wo jidhar jaayen jhuki-jhuki huyi nazron se kaam kar jaayen tadaptaa chhod den raste mein aur guzar jaayen sitam to ye hai ki dil le len aur mukar jaayen samajh mein kuchh nahin aataa ki ham kidhar jaayen yahi iraadaa hai ye kahke ham to mar jaayen hamen to loot liyaa mil ke husn waalon ne kaale-kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne hamen to loot liyaa mil ke husn waalon ne kaale-kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne wafaa ke naam pe maaraa hai bewafaaon ne ki dam bhi ham ko na lene diyaa jafaaon ne Khudaa bhulaa diyaa in husn ke Khudaaon ne mitaa ke chhod diyaa ishq ki khataaon ne udaaye hosh kabhi zulf ki hawaaon ne hayaa ne naaz ne lootaa kabhi adaaon ne hamen to loot liyaa mil ke husn waalon ne kaale-kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne hamen to loot liyaa mil ke husn waalon ne kaale-kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne hamen to loot liyaa mil ke husn waalon ne kaale-kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne hazaaron lut gaye nazron ke ik ishaare par hazaaron bah gaye toofaan banke dhaare par na inke waadon kaa kuchh theek hai na baaton kaa fasaanaa hotaa hai inkaa hazaar raaton kaa bahut haseen hai waise to bholpan inkaa bharaa huaa hai magar zahar se badan inkaa ye jisko kaat len paani wo pea nahin saktaa dawaa to kyaa hai duaa se bhi jee nahin saktaa inhin ke maare huye ham bhi hain zamaane mein hai chaar lafz muhabbat ke is fasaane mein hamen to loot liyaa mil ke husn waalon ne kaale-kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne hamen to loot liyaa mil ke husn waalon ne kaale-kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne zamaanaa inko samajhta hai nek aur maasoom magar ye kaise hain kyaa hain kisiko kyaa maaloom inhen na teer na talwaar ki zaroorat hai shikaar karne ko kaafi nigaah e ulfat hai haseen chaal se dil paayemal karte hain nazar se karte hain baaten kamaal karte hain har ek baat mein matlab hazaar hote hain ye seedhe-saade bade hoshiyaar hote hain Khudaa bachaaye haseenon ki tez chaalon se pade kisi kaa bhi paalaa na husn waalon se hamen to loot liyaa mil ke husn waalon ne kaale-kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne hamen to loot liyaa mil ke husn waalon ne kaale-kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne husn waalon mein mohabbat ki kami hoti hai chaahne waalon ki taqdeer buri hoti hai unki baaton mein banaawat hi banaawat dekhi sharm aankhon mein nigaahon mein lagaawat dekhi aag pahle to mohabbat ki lagaa dete hain apne rukhsaar kaa deewaanaa banaa dete hain dosti kar ke phir anjaan nazar aate hain sach to ye hai ki beimaan nazar aate hain maut se kam nahin duniyaa mein muhabbat inki zindagi hoti hai barbaad badaulat inki din bahaaron ke guzarte hain magar mar-mar ke lut gaye ham to haseenon pe bharosaa kar ke hamen to loot liyaa mil ke husn waalon ne kaale-kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne hamen to loot liyaa mil ke husn waalon ne kaale-kaale baalon ne, gore-gore gaalon ne.. 'Ismail Azad Qawwal, a very celebrated qawwal of the era 1940-50s, was from India and sung many renowned qawwaliz a huge proportion of which were the masterpieces written by Anwar Masroor. He was famous for singing qawwaliz with lyrics having sheer meanings and lessons in them. His qawwaliz were copied in India as well as in Pakistan subsequently. Many qawwals seemed to have inspired by his beguiling compositions and the way he delivered the verses. 'The dominant feature of his masterpieces was the simplicity and the meaningfulness of the kalam and the catchy compositions that magnetized the attention of the listeners and generated a considerable Ismaili fanclub. Unlike a traditional qawwal, he never focused on the 'raag' yet he possessed a melodious, sharp and easily distinguishable voice. Since he made his mark far before the 3 gigantic legends namely Aziz Mian, Sabri Borthers and Nusrat, they viewed him as one of the trendsetters in the qawwali world. Naat, Manqabat and Shan-e-Auliya (Grandeur of Saints) were the major topics of his qawwaliz though he sung for the films as well including numbers like “Hamain To Loot Liya“,

Share with your friends

Link:

Embed:

Video Size:

Custom size:

x

Add to Playlist:

Favorites
My Playlist
Watch Later